Mu say achi bat nikalo aik sakhs ka guzar aik basti say hua to wahan kay log nazaiba alfaz istemaal kar rhay thay uskay baray main. aur bura bhala kaha. us shaks nay un logon ko dua di aur khair kay kalmay kahay. kisi nay pucha hazrat log apko bura bhala keh rhay hain aur aap unko dua hi day rhay hain ?
Hazrat nay farmaya har shaksh wohi kuch mu say nikalta hai jo uskay pas hota hai. isi liye mu say hamesha achi batain nikalni chayie aur gunahon say bachna chayie.
ulma nay to fazool behas karnay say bhi loogon ko mana farmaya hai. kiuke is say sirf nahoosat phelti hai. sahaba farmatay hain fazool baton say khamoshi behtar hai aur khamoshi say behtar hai achi batain karna.
kam bolna , kam sona aur kam khana ibadat hai. isi liye meray dosto jab bhi bat karo achi bat karo aur logon kay faiday ki bat karo. lagho batoon say parhez karo isi main faida hai.
insan ka ilm jitna ziada hota jata hai uskay alfaz itnay hi kam hotay jatay hain aur wo fazool batoon say parhez karnay lag jata hai. jiska dimagh kam hota hai wo hamesha hansi mazaq aur guftagoo main laga rehta hai jiska koi faida nahi hota.
so dosto apnay aap ko aisi chezon say bachao aur doston kay sath bhi aisi batain share karo jis say unko bhi faida ho.