mizar hazrat rabya r.a. Hazrat rabya basri r.a ALLAH ki aisi walia guzri hain jin ki shan ka andaza nahi lagay ja skta. beshak wo ALLAH kay kamil logon main theen jin par ALLAH ka khas karam tha.
bhut say aulia unki mehfil main un say ilm hasil karnay atay thay. yahan tak kay hazrat hassan basri r.a bhi apki mehfil betha kartay thay.
aap ka dars hamesha yahi hota tha kay ALLAH ki ibadat ki jaye aur usay be panah muhabat ki jayay. youn to apki bhut si karamaat hain jo logon kay samnay ayi hain aur har aik ko discuss kia jayay to topic bhut lamba ho jaye ga.
aik bar aap kay ghar main chor ghus aia aur kuch churanay keliye idher udher phirnay laga. samnay daikha to hazrat rabya basri r.a jahe namaz par hi so gain thin ibadat kay bad. jab wo chor saman uthanay laga to andha ho gya aur usay ghar main maujood koi cheez nazar hi na ati thi.
par jab wo saman wapas rkhta to usay bahar ka rasta nazar anay lag jata. us nay 2 bar aur koshish ki par yahi mamla paish aia to wo dar gya aur saman chor kar jab janay laga to usay ghaib say awaz ai kay agar aik dost so rha hai to dosra to jag rha hai , agar aik dost ko nend ai hai to dosra dost to nend say pak hai.
ye sunana tha kay chor tauba kar kay ghar say wapas chala gya aur bad main us nay is waqyay ka zikar bhi kia tha aur sachay dil say tauba kar li thi.
to dosto hamain bhi un aulia e karam kay naqsh e qadam par chalna chayie takay ham bhi falah payain. is post ko apnay doston kay sath bhi share karain kiuke ye aik sadqa e jariya hai aur is say logon ko faida phunchta hai. jazzakALLAH.