Maulana Tariq Jameel fazail e ramzan 3 Ramzan ka mahina bhut hi barktoon wala hai aur is mahinay main ibadat ka sawab kayi gunah barh jata hai. muslim sharef ki hadees hai kay is mahinay main naiki ka sawab 700 guna tak bhi barh jata hai.
so hamain chayie kay is mahinay main ALLAH pak ko khoob yad karain aur usi ki ibadat karain. rozmara kay mamlaat main insaf karna seekhain. naap tol main kami baishi na karain. logon say acha salook karain. gharebon ki madad karain. ziada say ziada sadqa karain.
ramzan kay mahinay main aik aisi rat hai laila tul qadar jis main ibadat bhut ziada sawab rkhti hai. is raat ki ibadat ka sawab 1000 mahinoon ki ibadat kay brabar hai. aur sari rat tuloo e aftab tak is rat barkat hi barkat hoti hai. hamain chayie kay is rat ibadat karain.
ahadees main aia hai kay is rat ko ramzan kay akhri ashray ki taak ratoon main talash karo. meray dosto hamain deen kay mamlay main mehnat karni chayie. buri cheezon say bachna chayie. kisi ka dil nahi dukhana chayie. Ramzan kay in dino say jitna ho skay faida uthana chayie aur dosron ko bhi iski talkeen karni chayie. to dosto is message ko forward kar kay sawab hasil karain shukria.