jannat ki basharat ashra e mubashira

jannat ki basharat ashra e mubashira. Hazur pak p.b.u.h ka farman hai kay abu bakar R.a jannati hain , hazrat umer r.a jannati hain , hazrat usman r.a jannati hain , hazrat ALI r.a jannati hain. talah jannati hain , zubair jannati hain, abdul rehman bin aoof jannati hain, saad jannati hain , saeed jannati hain , abu ubaida bin jarah jannati hain (R.A)

yahan pay un khush naseeb sahabioon ka zikar kia gya hai jinko dunia main hi jannat ki basharat mil gai thi. subhanALLAH ki khushkismat sahabi thay wo aur unhon nay aisay aisay naik amaal kiye kay dunia main hi unko ALLAH pak ki tarf say khabar mil gai kay wo jannati hain.

Dosto hamain bhi aisay amaal ikhtiar karnay chayie jis say ALLAH pak ki raza hasil ho skay aur ham bhi jannat kay mustahiq tehar payain. darasal jannat hi sab kuch nahi balkay us say barh kar ALLAH pak ki muhabat sab kuch hai. agar insan us RAB ki muhabat pa laita hai to wo sab kuch pa laita hai.

naik amal insan ki kamiyabi ki waja to bantay hain par isay ata karnay wala aur naiki ka mauka dainay wali zaat sirf aur sirf ALLAH tala ki hai. to hamain dua karni chayie kay wo hamain buray kamon say door farmayay aur naiki par istekamat naseeb farmayay. takay hamara naam bhi khushnaseeb logon ki list main aa skay. is message ko ziada say ziada logon main share karain. is ko forward karnay say jitna sawab parhnay walay ko milay ga utna hi apko milay ga.

ye sadqa e jariya hai shukria

jannat ki basharat