Forgive Everyone and Allah will bless you

Forgive Everyone and Allah will bless you very nice bayan. insan ko logon ko maaf karna seekhna chayie kiuke ye aik aisi cheez hai jo ALLAH ko bhut pasand hai.

ALLAH pak ki rehmat ki koi initeha nahi. wo RAB farmata hai kay ay ibn e adam agar teray gunah asmaanoon ki bulandioon ko bhi choonay lagain aur tu mujh say maghfirat talab karay to main tujhay maaf kar doon ga aur main kisi aur chez ki parwa nahi karoon ga.

to jab ALLAH pak pasand karta hai apnay bandoon ko maaf karna to logon ko bhi chayie kay wo maaf karna seekhain

Aajkal kay log main quwat e bardasth bhut ziada kam ho gai hai jiskay nateejay main log lartay rehtay hain. aur bat qatal o gharat tak bhi ja phunchti hai. jaisa kay hamaray musharay main ho rha hai. be rozgari aur baki masayil ki waja say log pehlay say bharkay hotay hain.

Hazrat ali r.a ka farmaan hai kay maaf karnay ka sab say ziada haq wo rkhta hai jo saza dainay par qadir ho. hamain hazur pak p.b.u.h ki zindagi say aisay hi bhut say sabaq miltay hain. hazur pak p.b.u.h nay jab deen ki ishaat ka kaam shuru kia us wqt kufaar aapkay khilaf nikal ayay. unhon nay aap p.b.u.h ko bhut takleefain di aur pathar bhi barsayay. magar aap nay ye sab batain na sirf bardasht kiin balkay unkliye dua bhi kartay rhay. aur aakhir main fatah e makkah kay moka par aap nay jab sab kafiroon ko maaf kia to uski aisi barkat hui kay saray kay saray hi islam qabool kar layay.

isi liye hamain bhi logon ko maaf karna seekhna chayie. aur is bat ko aam karna chayie takay log nuqsan uthanay say bachain aur ALLAH ki rehmat samatain. is ko apnay friends say share kar kay sawab hasil karain kioke ye sadqa e jariya hai. shukria