Farz namaz ki fazeelat

Namaz mominoon par muqarara waqt par farz hai ye quran ki aik ayat hai jo show karti hai kay namaz muslamano par usi wqt par farz hai jis wqt ka hukam dia gya hai.

Deen e islam main sab say ziada ahymiat jis cheez ko di gai hai wo namaz hi hai. jaisa kay hazur pak p.b.u.h ka farman hai kay momin aur kafir main farq hi sirf namaz chor daiinay ka hai. muslmano ko chayie kay namaz apnay muqarara wqt par ada karain.

Hazur pak p.b.u.h jab meraj par gyay thay ALLAH kay pas aur wahan un say mulakat hui thi to namaz hamaray pyaray nabi p.b.u.h ko tohfay main mili thi ALLAH pak ki taraf say.To is say andaza kia ja skta hai kay namaz ki ahymiat kitni hai.

pehlay namazain tohfay main 50 mili theen magar bad main kam kar kay 5 kar di gai theen. hazur pak p.b.u.h farmatay thay kay namaz meri aankhon ki thandak hai.

to jisay hamaray pyari nabi aankhon ki thandak farma rhay hain uskay baray main kisi kisam ka shak nahi kia ja skta.

ham sab muslim bhaion ko chayie kay khud bhi namaz parhain aur logon ko bhi namaz ka hukam dain takay logon ko bhi is say faida ho.jaisa kay zahir hai kay namaz ko us kay wqt par ada karna chayie. jaisay subho ki namaz aap sooraj niklnay kay bad nahi parh sktay us waqt sirf kaza namaz hi parhi ja skay gi subho ki.

namaz ALLAH ki rehmat samaitnay ka bhut bara zariya hai. har namaz ka be had sawab hai aur ye qabar main insan keliye noor bhi ho ga.

isay apnay doston kay sath bhi share karain kiuke ye cheezain sadqa e jariya main ati hain jitna phailain gi utna hi sawab milay ga apko. shukria dosto.

Farz namaz ki fazeelat