kya-roz-roz-k-larai-jhagre-se-bachne-k-liye-waldein-se-alag-hona-behtar-hai

Question-AnswersCategory: marriagekya-roz-roz-k-larai-jhagre-se-bachne-k-liye-waldein-se-alag-hona-behtar-hai
Humbal Raza asked 2 years ago

Assalam o alaikul,Mera ek important question hai jiska jawab mujhy kahe se nahe mil saka. Mera masla ye hai k main apne gharelo mamlat ki waja se buhat zada depression ka shikar hun jiski waja se ab ye nobat a chuki hai k choti choti baton per bhi gussa ata hai buhat zada. Main apni life beger kisi tension k jeena chahta hun or wo mujhy apne ghar main waldein k sath rehtw howe nazar nahe aty. Ab is se pehly k ap ye kahe k \”dekho kesa badtameez beta hai\” jo k hamari 90% pakistani awaz ka diaogue hai, kuch cheezein main shortly point out karna chaho ga jis k base per app shayad mera masla samajh saken. 1. Waldah ka bat be bat per jhoot bolna (chahy wo choti bat ho ya bari).2. Kisi qisam ki privacy nahe her mamlaat main dakhalandazi karna or agar kuch mashwara do tou phr poory khandan main bat phela dena.3. Izzat nahe karna (point 2)4. Meri zindagi k mamlat main faisla mujh se pochy beger lena or kuch bolne per apne ma baap hone ka barham dikhana.5. Paiso k mamly main idhar udhar krna or jhoot bolna6. Miya biwi k mamlat main dakhalandagi karna or mere peechy os se ulti seedhi batien smjhana ye keh kar k mene pal poss kar bara kiya hai tum os se shopping k alag se manga karo paisy.7. Biwi ko wargalana ye keh kar k osky peechy lagy raha karo mera beta hai tou kya howa mard hai.(larki ka chakkar) Main likhta hi jao ga itne masly masail hain. Ab mujhy koi sahe jawab de de nutral ho kar dono side se ta k main apni zindagi sukoon se jee sako.

1 Answers
Syed Hamad answered 2 years ago

Asalamolikum,
Aisa sirf apkay sath nahi balkay bhut jaghoon par hota hai.
Kasrat say astaghfirullah ki tasbeeh parhain.
Tension dainay walay logo say guftagoo kam karain.
Hazrat Ali R.a ka qaul hai aehsaan badzabano ki zaban band kar daita hai. Is liye sab par aeshaan krtay rhain.
Sab InshaALLAH better ho jaye ga

Your Answer

8 + 9 =