about-sucide-and-myths-about-suicide

Question-AnswersCategory: islamabout-sucide-and-myths-about-suicide
Momna asked 4 years ago

Mera ek question ha ya smjh lein confusion ha ..agr insan ka mrny ka din or trika or jgha phele sa likha ja chuka ha tu suicide haram mout kyu ha ?unki mout asy hi likhi hogi…or log khety hn suicide krny waly k pechy dua b na krin my point is allah 70 maa sa zyda piyr krta tu dua krny sa kyu mna krin ga kisi dosry insan k liye …kindly suggest a vedio or detail answer please

1 Answers
Syed Hamad Khalid answered 4 years ago

Asalamoalikum momna,

Daikhain ALLAH pak nay har insan ko 2 raastay bta diye hain aik sahi aur dosra ghalat.

Ikhtiaar insan kay hath main hai aur Rasta choose karna bhi ALLAH nay uskay ikhtiaar main dia hai.

Ho skta hai apki kismat main ye likha ho kay agar aap naik rasta chunain gi to apka makam jannat hai aur agar bura chunain gi to makam dozakh hai.

To aap daikh skti hain kay dono batain likhi ja chuki hain. insan kay upar hai kay wo kis cheez ko ikhtiaar karta hai.

agar main naik kam karu to uska mujhay sawab hai aur agar main abhi suicide kar loon to uska gunah meray upar hai kiuke dono cheezo ka ikhtiar meray pas tha jo ALLAH pak nay dia tha.

Hope this is answer to you question.

Regards,

Your Answer

20 + 14 =