laila tul qadar ki raat ibadat

laila tul qadar ki raat ibadat jo shaks iman ki halat main sawab ki neyat say laila tul qadar main ibadat keliye khara hota hai us kay guzashta tamam gunah maaf ker diye jatay hain (bukhari o muslim).

is rat ki ibadat hazar mahinay ki ibadat say afzal btayi gai hai quran pak main. iskay pechay haqeqat kuch youn hai. hazur pak p.b.u.h apnay ashaab kay sath tashreef farma thay. aap p.b.u.h nay aik shaks ka waqya bayan farmaya. jo kay 1000 mahinay tak jehad karta raha aur talwar lay kay larta rha. is bat ko sun kay sahaba e qaram nay bhut rashq kia.

sahaba e qaram ki is chahat ko daikhnay kay bad hi sura e qadar nazil hui. chunkay pehlay logon ki umar ziada hoti thi is liye naik kam karnay ka time bhut milta tha. hazur pak p.b.u.h ki umat ki umar kam hai is liye inhe tohfay kay taur par aisi raat naseeb ki gai hai takay wo kam waqt main ziada sawab kama skain.

is message ko apnay doston kay sath bhi shair karain takay unhe bhi is say faida phunch skay. ye sab cheezain sadqa e jariya hoti hain. jo aagay phailanay say ziada sawab milta hai dosto.

Lailaa tul qadar ki raat